Thursday, March 4, 2010

sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata

sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata,
par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata,
khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye…
Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………

aandhiyon mein ek shama jalana chahta hun

aandhiyon mein ek shama jalana chahta hun,
tere sahar mein dastoor-e-wafa chalana chahta hun,
tu ek baar thaam le haath to badhkar mera,
main tere samne duniya ko jhukana chahta hun,
maut ek din aayegi,gham kis baat ka,
jeete jee maut se aankhen milana chahta hun,
kam se kam tum to bharam wafa ka rakho,
main apna sab kuch lutana chahta hun,
mohabbat mit na jaye duniya se kahin,
isliye ishq mein khud ko mitana chahta hun,
bijiyan khaak kar deti hain gulsan saara,
main jab jab bhi aashiyana banana chahta hun,
saja kar bajme yaara tum bulao to sahi,
geet jo tujhpe likhe hain,tumhe sunana chahta hun,
siwa iske koi hasrat nahimeri,
bas ek tere dil mein samana chahta hun,
tum ek baar ijajat to do mujhko,
khoon-e-dil se teri hatheliyan rachana chahta hun,
bas ek isi aarzoo mein jee raha hun main,
marne se pehle tujhe apna banana chahta hun,
mera paigam mohabbat hai jahan tak pahunche,
geet yahi har mehfil mein gana chahta hun,
tum apni ankhon se meri barbadiyan dekho,
main khud apne aap ko aaj

Kabhi Ishq Ho To Pata Chaley

Kabhi Ishq Ho To Pata Chaley

Bisaat e Jaan Pe Azab Utertey Hain Kiss Tarah
Shab o Rooz Dil Pe Ataab Uterey Hain Kiss Tarah

Kabhi Ishq Ho To Pata Chaley

Yeh Jo Loog Se Chuppey Huye Hain Puss e Dostaan
To Yeh Kon hain?

Yeh Jo Roog Se Hain Chuppey Huye Puss e Jism o Jaan
To Yeh Kiss Liay?

Yeh Jo Kaan Hain Mery Ahtoon Per Lagy Huye
To Yeh Kion Bhalla?

Yeh Jo Hont Hain Siff e Dostaan Main Sillay Huye
To Yeh Kiss Liay?

Yeh Jo Iztarab Rachaa Hua Hai Wajood Main
To Yeh Kion Bhalla?

Yeh Jo Sang Sa Aa Girra Hai Jamood Main
To Yeh Kiss Liay?

Yeh Jo Dil Main Dard Chirra Hua Hai Lateef Sa
To Yeh Kab Se Hai?

Yeh Jo Putliooon Main Hai Akss Koi Khafeef Sa
So Yeh kab Se Hai?

Yeh Jo Ankhon Main Koi Barf Si Hai Jummi Hui
To Yeh Kiss Liay?

Yeh Jo Dostoon Main Nai Nai Si Kummi Hui
To Yeh Kion Bhalla?

Yeh Jo Loog Peechay Pare Huye Hain Fazool Main
Inhain Kiya Pata?Inhain Kiya Khabar?

Kissi Rah Ke Kissi Moor Per Jo Inhain Zara
Kabhi Ishq Ho To Pata Chalay

Why did you break my heart?

Why did you break my heart?
Why did we fall in love?
Why did you go away, away, away, away?
(Dil mera churaaya kyoon
Jab yeh dil todna hi tha
Humse dil lagaaya kyoon
Humse munh modna hi tha) - 2
Why did you break my heart?
Why did we fall in love?
Why did you go away, away, away, away?

Ho, dil ko dhadakna tune sikhaaya
Dil ko tadapna tune sikhaaya
Aankhon mein aansu chhupe the kahin
Inko chhalakna tune sikhaaya
Seene mein basaaya kyoon
Dil se jab khelna hi tha
Humse dil lagaaya kyoon
Humse munh modna hi tha
Dil mera churaaya kyoon
Why did you break my heart?
Why did we fall in love?
Why did you go away, away, away, away?

Ho, milti thi nazrein jab bhi nazar se
Uthte the shole jaise jigar se
Saanson se nikla jaise dhuaan sa
Banta tha mujhse jeete na marte
Aag kyoon lagaayi jab
Bujhaaye dil chhodna hi tha
Humse dil lagaaya kyoon
Humse munh modna hi tha
Dil mera churaaya kyoon
Jab yeh dil todna hi tha
Humse dil lagaaya kyoon
Humse munh modna hi tha
Why did you break my heart?
Why did we fall in love?
Why did you go away, away, away, away?

Wednesday, March 3, 2010

Bholna Itnaa Asan Nahi.....

Bholna Itnaa Asan Nahi.....
ke main tujhe bhool jaon
Aaj phir dil bohat ghabraya
Meinne usko ye samjhaya
Ke bholna itnaa asan nahi
Tu ager dil ki dharkan hota
Toa mera dil dharkna bhool jata
Tu ager sanso main ji raha hota
Toa sansoo ki dour toa hoti hi kachi hay
Tu agar khayalon ka markaz hota
Toa main hosh-o- khird se baygana hota
Magar afsoos
Tu toa meri rooh ka hamzaad hay
Us main azal se le ker abd tak abaad hay
Aur Rooh kabhi fana hoti nahi
Kabhi mitti mein ja ker soti nahi
Kabhi dil ki terha roti nahi
Sans ki door ki terha kachi hoti nahi
Jab rooh se taluq toot sakta nahi
Aur Khuda bhi usko bhool sakta nahi
Toa Aae qarar-e- dil
Aaj tu itna jaan le k
Bhoolna itna aasaan toa nahi....

Yon Deekha Na Kar

** Yon deikha Na kar..**
maray mehboob piyar say yoon deekha na kar
dharkaneen hoti hain tez yoon deekha na kar
````````
gulab ho jatay hain pal main rukhsar maray
mari ankhon main jhank kar yoon deekha na kar
```````
harf ba harf parh kabhi mari kitab_e_dil
maray chehray ko hi to bas deekha na kar
```````
nahi gar matlab koi maray hal_e_dil say tujhay
deewang_e_shoq say phir mujhay yoon deekha na kar
```````
maray andar bhi sawaan say utar atay haiin
bheegti si palkon say mujhay yoon deekha na kar
````````
mari ankhon ko bhi jalwa_e_mohabbat day kabhi
mari baychainiun hi ko bas yoon deekha na kar

Hum ne yaad kiya hai

Hum ne yaad kiya hai

Jab kabhi mausam mein khushbu bikhar jae
Jab kabhi chandni mein raat nikhar jae
Jab kabhi bewajha hi dhadkan machal jae
To samjh lena k HUM NE YAAD KIYA HAI


-----------------------------------------
Waqt bewaqt yaad kiya karte hain

Hum to sirf aapki baat kiya karte hain,
har dhadkan pe aapka naam liya karte hain,
aap ho hume apni jaan se bhi pyare,
tabhi to waqt bewaqt yaad kiya karte hain

About Me

My photo
Mehak: A bubbley fun loving girl who just wants to be loved, you love attention and the lime light! i m cool fun loving nd very friendly nd i m very sensitive and emotional..i got hurt when sum1 speaks rude to me.