Wednesday, March 3, 2010

Hum ne yaad kiya hai

Hum ne yaad kiya hai

Jab kabhi mausam mein khushbu bikhar jae
Jab kabhi chandni mein raat nikhar jae
Jab kabhi bewajha hi dhadkan machal jae
To samjh lena k HUM NE YAAD KIYA HAI


-----------------------------------------
Waqt bewaqt yaad kiya karte hain

Hum to sirf aapki baat kiya karte hain,
har dhadkan pe aapka naam liya karte hain,
aap ho hume apni jaan se bhi pyare,
tabhi to waqt bewaqt yaad kiya karte hain

AgAr HuM DoSt HoTe To

Ager Hum Dost Hotey to

karam ki inteha kartey

Tumein Palkon Par Rakhtey

Tumhen Dill mai Basatey ham



Ager Tum Rooth Jatay to?

Tumhen kitna Mannatay

Jo Milnay Tum Nahin Aatay

To aa kar khud Tumhen Miltay





Tumhari Galtiyon ko bhi

Hansee Mein Ham Urra Detay

Ager apni khatta Hoti

Too khud ko Bhi saza Detay





Mager ye sab Tabhi Hota?

Ager Hum Dost Hotay to?





Mager itna Hi Jana Hai?

ke Tum ne ajj Tak Ham ko

Paraya keh ke Maana Hai

kabhi Hum Dam Nahi Jaana







Ager Hum Dost Hotey to

karam ki inteha kartey...

Na maein pass uss ko bula saka

Na maein pass uss ko bula saka
Na maein dil ki baat bata saka
Woh hansi hansi may he chal diyya
K maein haath tak na hilla saka

Mujhay kia howa mujhay kia ho khabar
Mujhay kitna gahra khumar tha
Maein khara tha iss k hisar may
Meray ird gird ghubar tha

Uoon he sochta raha dair tak
Magar uss ko kuch na bata saka
Na maein pass uss ko bula saka
Na maein dil ki baat bata saka

Yah bhi theek hai woh chala gayya
Mujhay band raastay pay choor kar
Yah bhi theek hai na woh aaay ga
Kabhi buttt anaa ka toor kar
Woh juda bhi kaisay howa kay maein
Koi rasm bhi na nibha saka

Na meri dushmani kissi din say ab
Hai na doosti kissi raat say
Hai bacha kia jo woh lay gayya
Mujhay cheen kar meri zaat say
Woh muqam he kuch ajeeb that
kay maein khud ko bhi na bacha saka

Na maein dil ki baat bata saka
Na maein pass uss ko bula saka...

TERI ANKHON MAIN HAM NE KIYA DEKHA .....

TERI ANKHON MAIN HAM NE KIYA DEKHA ...
KABHI QAATIL KABHI KHUDA DEKHA....

APNI SOORAT.. LAGEE PARAEE SI...
JAB KABHI HAM NE AAINA DEKHA...

HAEY ANDAZ.. TERAY RUKNAY KA..
WAQAT KO BHI RUKA RUKA DEKHA..

TERAY JAANAY.. OUR AANAY MAIN ...
HAM NE SEDIYOAN KA FASLA DEKHA...

PHIR NA AAYA KHEYAL JANANT KA...
JAB TERAY GHAR KA RAASTA DEKHA

HUM YAAD AAYENGE

UM YAAD AAYENGE
Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Tumhain hum yaad aayenge

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justojoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Mere Talassh Hai
Wohi Dard Mere Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai

chodo na mujhe

Chhodo Na Mujhe Yun Beqaraar Saa
Don't leav
e me so filled with longing
Kar Bhi Do Izhaar Tum Apne Pyaar Kaa
just give me a sign of your love
Tumhaare Dil Ki Hai Ye Manzil Mera Deewana Dil
the destination of your heart is my mad heart
Bolo Tum Bolo
say it, say it

Kar Doge Inkaar To Jee Na Paayenge
if you refuse, i won't be able to live
Jo Kar Doge Iqraar To Mar Hi Jaayenge
and if you confess, i'll die too (meaning, for you)
Tumhaare Dil Ki Hai Ye Manzil Mera Deewana Dil
the destination of your heart is my mad heart
Bolo Tum Bolo
say it, say it

Itne Paraaye Jo Ho Tum Pahle Kabhi Bhi Na The
never before were you such a stranger t ome
Mere Jahaan Mein Ghamon Ki Ho
the griefs of my word,
Tum To Vajah Hi Nahin The
you were not the cause of them
Dil Se Mere Tum Khud Ko Nikaalo
extract yourself from my heart
Yaa Phir Mujhe Hi Apnaa Banaa Lo
or make me alone your own
Bolo Tum Bolo
say it, say it
Khoyee Khoyee Zindagi Ki Raahon Mein Ab Aa Bhi Jaao
Come now onto the roads of my lost, lost life
Jo Tum Nahin Aanaa Chaah

About Me

My photo
Mehak: A bubbley fun loving girl who just wants to be loved, you love attention and the lime light! i m cool fun loving nd very friendly nd i m very sensitive and emotional..i got hurt when sum1 speaks rude to me.